Friday 22 August 2014

naari...!!

naari... 
ek  "vastu" jiski har kisi ko talab lagi hai ..koi paane nikla hai isey to koi katl ki saazishon me laga hai..iske na milne par koi bebas ho uthta hai aur jise mil jaaye vo paap samajh kar kosta hai..

haan ye na kisi ki apni hai na hi parayi hai ..maa baap ke ghar me "paraya dhann" bulayi jati hai aur jab sasural chale jayye ..sabko khush na kar paane par sunti hai.."ja apne ghar ja
 ..konsa apna ghar ..vo to kabhi tha hi nahi..ye to har taraf parayi hai...







ek ummeed bandhti hai iske dil me "maa" ban kar..usey har khushi har pal pyar deti hai..aur badle me paati hai..beti ka doosre ghar chale jana.. aur bete ka paison ke liye matlab nikalna..

sab iske apne ho jaate hain jab ye sabko hasati hai... kabhi beti ban kar kabhi bahu ban kar..kabhi maa..patni..to kabhi tawayaf ki tarah..!!

phir bhi isey kisi ne nahi apnaya lekin sab hi iskey apne hai..koi iska apna kyo ban nahi paata..ya kahiye apnana nahi chahta..
iski muskurahat dekhi hai sabne aansoo aur dard kisi ne nahi samjha..

kya khud ko maar kar doosron ke liye jeena hi iski zindgi hai..khiar iski zindgi to hai hi kahan.. katputli ki tarah har koi nachata hai isey..

maa baap bhai behen pati ya koi aur..har kisi ne iske daaman par kalankh lagane ki koshish ki hai..lekin yeh hi ghar ki maryada hai..
iskey bina to har koi adhoora hai..par isko paa lene par bhi poorna nahi ho pata ..asal mayne me koi isey jaan hi nahi paata .koi isey paa hi nahi pata..

naari..vo jo har pal badalti hai har kisi ke liye khud ko khoti hai doosron ki khushi ke liye..is naari ka koi astitva nahi..

vo kehna to chahti hai bohot kuch uski zuban lekin kaati gai hai.. lafz nahi mil paate hain usey uskey bayan karne ki dastan alag hai..jo koi samajh nahi pata..
udhana chahti hai vo ooonche aasmano mein ..lekin pankh bhi kaat diye gaye hain..to vo udd bhi nahi paati..

bechaari...


zara sochiye kya vo sach me bechaari hai..??


vo dard hai vo hi hai hasi ..vo gam bhi hai vohi hai khushi..vo dariya hai sagar hai..sookha bhi usi se hai..vo ambar hai akash hai..parithvi bhi hai vohi ... 

vo jo sehti hai vo jo bebas hai..usey raundana har kisi ka shagal hai..

vo sooyi hai ..jalti hui jo agnee hai..vo bujhi hai abhi..chingari sulagi nahi hai ab tak..



uske jaagne par zaroor andhera nishchit hai..
har koi bhool chuka hai..vo hi durga hai..vo hi shakti hai..!!!!

nimmi......!!!