Wednesday 26 July 2017

Tera Shaukh

Ye kaisa shaukh h tera chada jo utarta hi nahi,

Kaisa ye rang h jo chootta hi nhi

Aaene me dekhun jo tassavur mera,

Ye kyo apna dikhta hai nahi

Kaisa ye shaukh hai tera jo utarta hi nahi

Likhi teri meri kahani lal shyahi se farishto ne,

Kahani sapne jaisi , sapna jo tootta hi nahi

Teri dehleez paar ki jo kumkum bhare pairon se maine,

 Lal rang kaisa safed hota kyo nahi

Hasee ke tere thekedar jo ham bane,

Kaisa ye bandhan ye tootta kyo nahi

Sath chale the raaste me ham safar ki Tarah,

Ye raasta Hau kaisa ab mudta kyo nahi

Safar ye khatam hota kyo nahi

Taqdeer me likha hai naam jo tera,

Ye naam ab bichadta kyo nahi

Kaisa shaukh hai tera chada ye utarta kyo nahi..!!

Nimmi

No comments:

Post a Comment